Thursday 3 March 2011

Purvanchal University Ka Kamal-1 wyakti 3 Naukari

ye patra hai Dr. Vikram Pratap Singh ji ka mere Es lekh par ager aapko confermation chahiye to ense Cell No. 9415255199 par sampark kar saktey hai
Dr. Vikram pratap singh ji is based from the Jaunpur (UP)
Well........., puri katha par ata hu
Jaunpur ka Itihas k panno par vishesh Mahatva raha hai. jisko hum sabhi log jantey hai
ab iska Naam Roshan kar Raha hai Purvanchal Vishwavidyalaya. Jaunpur ki eklauti University. Swargiya Veer Bahadur Singh ji k naam par eska naam Veer bahadur singh Purvanchal University pada hai. ye apne alag alag kriya kalapo k wajah se hamesh Highlight raha hai
Mager eska aj ek aisa karya batata hu jisko sun kar sabhi k rongatey khadey ho jaige.
Dr. Vikram Pratap Singh ek sajjan manushya aur apne chhatrajivan mai bhi apni sajjanta k liye apne dosto mai charchit rahe hai. Aj esi sajjanta k karan ek musibat mai fas gai hai. Apne swargiya Pita Sri V.P.singh ji k sapno ko safal kartey huwe enho ne Purvanchal University se sambaddha T.D.college Jaunpur mai Adhoc (Anumodit) Lecturer k post par dated 27/10/2006 ko join kia abhi zindigi 5000/= per month k chhotee si salary par larkhara rahi thi k ek subah ne enpar bijli gira di. ek news paper k madhyam se enko pata chala k ye ek hi university k 2 aur mahavidyalaya mai Lecturer hai. Ye pareshan hokar sedhey university pahuchey aur waha jacha toh pata chala k S.No. 268- Maa Sharda mahavidyalaya aur S.No. 248 mai Seeta Ram Singh,Ramanand singh Smarak Mahavidyalaya jo dono Azamgarh disstt. mai hai mai bhi posted dikh rahe hai aur uske bakayada salary bhi jati hai. Ab ye pareshan hokar Kulsachiv aur Kulpati k Paas pahuchey Dono ne kaha k dekhata hu. fir kafi dino tak na dekhane par enho ne regd. Dak dwara fir bheja ek patra dono ko uspar karyawahi hui ya nai hui magar enke ghar par kuchh sajjan log pahuhey aur samjhaya k Singh saheb kyo kisi k pet par laat martey ho. jaisa chal raha hai chalne do. aj ek saal k baad bhi kuchh nai badala aur abhi tak waisa hi chal raha hai.
Humari sarkar Ghotalo par dhayan tab deti hai jab wo ghotala desh ki Eco.ko gahra dhakka deta hai. Hum log Alag alag vicharo se apne wall ko F/B par sajatey hai aur ek aise bahas kartey hai jiska koi mahatva nai hota hai mager es lekh par apne pratikriya nai dete. Aj Dr. Vikram Pratap Singh ek aise chakraview mai fas gai hai jiska andaz nai lagaya ja sakta hai. Ager koi Action sarkar dwara hota hai toh University aur Management dono hi palla jhhad kar kinare ho jaige aur fasege ye akele bechare Dr. Saheb. Magar Hum log es par comments nai dengey koi awaz nai uthaige kyo k humko kya hai jiska matter hai wo janey
Dekhta hu Desh bhakti ka aur Galat k Kilaf awaz uthane walo ko.kahna aur karna 2 alag alag baat hai.
Maine pahal k aap Tag kar k es muhim ko agey badhao. 

1 comment:

  1. Bhaut khoob bhai
    Andher nagri chaupat raja, take ser bhaji take sher khaja..

    ReplyDelete